Thursday 23 February 2012

Act of Contrition

Tauba ká ‘amal (I)

Ai mere Khudá
main apne sare dil se
pashemán hún ki
main terí behadd nekí
aur buzurgí ke khiláf
gunáh kiyá hai
main apne sab gunáhon
se nafrat kartá hún kyúnki
wuh tujhe na khush karte hain
Ai mere Khudá tú jo
sab píyár ke láiq hai
aur main mazbútí se iráda kartá n
ki tere Pák  fazl ḱí madad se
phir hargiz tujhe náráz na karún
balki gunáhon kí ráhon
se kinára karún
Ámín

Tauba ká ‘amal (II)

Ai mere Khudá
Mujhe sakht afsos hai ki
main ne gunáh karke
tere píyár ko bhúlá diyá.
main ab se
terí madad ke sáth
gunáh se dúr
aur terí mahabbat men
qáim rahún
Ámín

Click for Tauba kí Níyat

4 comments: