Wednesday 7 March 2012

Mazmúr 94 (95)

Invitatory Psalm 95
‘ibadat aur itá‘at kí da‘wat (A call to praise God)

1 Áo, ham Khudáwand ke liye naghma pardází karen
apní naját kí chatán ke liye khushí se lalkáren.

2 us ke huzúr shukrguzárí  karte húe áen
aur gít gáte húe us ke áge khushi ke na‘re máren.

3 Kyúnki Khudáwand Khudá e ‘azím hai
Aur tamám ma‘búdon par sháh i kabír hai

4 usí ke háth men zamín ke gahráo hain
Aur paháṛon kí choṭiyán bhí usí kí hain

5 Samundar usí ká hai, kyúnki usí ne use banáyá hai
aur khushkí bhí, jo us ke háthon  kí sákht hai.

6 Áo, ham jhuken, aur sajda karen
Aur apne kháliq Khudáwand ke áge dozánú ho jáen

7 Kyunki wuhí hamárá Khudá hai  
Aur ham us kí pásbání kí ummat
Balki us kí hidáyat ká gallah hain
Kásh ki áj tum us kí áwáz suno

8 “tum apne dil ko sakht na karo,  jaisá  Maríbah men
Ya jaisá Massah ke din, biyábán men kiyá thá

9 Jahán  tumháre ajdád ne merá imtihán kiyá,
aur mere kámon ko dekh kar bhí mujhe ázmáyá

10 Chális baras tak main us nasl se bezár rahá,
 aur main ne kahá ki yih gumráh dil qaum hai.
aur wuh merí ráhon se náwáqif hain.

11 Chunánchi main ne apne ghazab men qasam kháí hai
Ki yih mere itmínán men hargiz dákhil na honge. 

No comments:

Post a Comment