Thursday 16 August 2012

19th August 2012 Twentieth Sunday in Ordinary Time (B)


Sál ke daurán Bíswán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Ps 83: 10-11
Ai hamáre muháfiz Khudá
Tawajjuh kar aur apne mamsúh ke chihre par nigáh farmá
Kyúnki terí bárgáhon men ek din
kisí aur jagah ke hazar dinon se bihtar hai.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Amsál kí kitáb) Proverbs 9:1-6
Merí roṭí kháo aur wuh mai piyo jo main ne tumháre liye taiyar kí hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 33:2-3,10-15 Jamá‘ati jawáb áyat: 9
Chakho aur dekho Khudáwand kaisá bhalá hai

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon Ke Nám) Ephesians 5:15-20
Samjho ki Khudá kí marzí kyá hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Yúhanná) Jn1:14,12
Hallelujah Hallelujah 
Kalma mutajassad húá, aur ham men sukúnat pazir húá.
Jinhon ne use qabúl kiyá.
Us ne unhen iqtidár bakhshá ki Khudáwand ke farzand banen.
Hallelujah 

Hallelujah: (Yúhanná) Jn 6:56
Hallelujah Hallelujah 
Khudáwand farmátá jo merá gosht khátá aur merá khún pítá hai
wuh mujh men qáim rahtá hai aur main us men
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke  mutábiq) John 6:51-58
Merá gosht haqíqí ghizá hai aur merá khún haqíqí shurb hai

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Ps 129: 7
Khudáwand ke pás shafaqat hai
aur us ke pás kasrat se fidya hai
Or
(Yúhanná) Jn 6: 51-52
Khudáwand farmátá hai ki Main wuh zinda roṭí hún jo ásmán se utarí hai
Agar koí is roṭí men se kháe to hamesha tak zinda rahegá

...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here
 For Reflection on Ephesians for the Twentieth Sunday in Ordinary Time click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment