Thursday 30 August 2012

2nd September 2012 - Twenty-second Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán báíswán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Cf. Psalm 85:3, 5
Ai Khudáwand mujh par rahm kar kyúnki main din bhar tere áge nálá kartá raha hún.
Is liye ki tú Khudáwand nek aur ghafúr hai
aur apne iltijá karnewálon par niháyat rahím hai.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Tasniyah Shara‘) Deuteronomy 4:1-2.6-8
Jo kuch tumhen hukm detá hún us men koí bát na baṛháo Khudáwand apne Khudá ke ahkám ko mánte raho.

Zabúr: Psalm 14:2-5 Jamá‘ati jawáb áyat: 1
Ai Khudáwand tere khaime men kaun rahegá

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Ya‘qúb Rasúl Ká Khatt) James 1:17-18.21-22.27
Tum Kalám par ‘amal karnewale bano

Hallelujah: cf. (Yúhanná) John 6:63, 68
Hallelujah Hallelujah 
Ai Khudáwand terí báten rúh hain
Aur zindagí bhí hain:
hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah 
OR
Hallelujah: cf. (Ya‘qúb) James 1:18
Hallelujah, Hallelujah
Báp ne apne iráde se hamen apne bachche banáyá,
táki haqq ke kalám ke wasíle se
ham us kí makhlúqát ká
ek tarah se pahlá phal hon
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke  mutábiq) Mark 7:1-8, 14-15, 21-23
Tum Khudá ke hukm ‘udúl karte ho táki ádmíon kí riwáyat qáim rakho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 30:20
Ai Khudáwand, Terí wuh mihrbání kitní ‘azím hai
jo túne apne ḍarnewalon ke liye rakh chhoṛí hai.
OR
(Matí) Matthew 5:9-10
Mubárak hain wuh jo sulh karáte hain,
wuh Khudá ke farzand kahláenge.
Mubárak hain wuh jo rástí ke sabab satáe gaye hain,
ásmán kí bádsháhat unhín kí hai.

...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here


‘udúl or ‘adúl: disobey

No comments:

Post a Comment