Friday 3 August 2012

Muqaddas Yúhanná Mariyá Wayání 4th August


St. John Mary Vianney (8 May 1786 – 4 August 1859)


khilah (Introit/Entrance Antiphon): (Irmiyá) Jeremiah 3:15
Main apne dil ke muwáfiq tumhe chaupán dúngá,
aur wuh ‘ilm aur hikmat se tumhe charáenge.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir -I Mutliq aur azalí Khudá
Terí taufíq se terá wafádár kahin Muqaddas Yúhanná Mariyá Wayání
Intiháí garm-joshí ke sáth
Apne káhinánah faráíz ada kartá rahá
bakhsh de ki ham us ke namúne ke mutábiq chal kar
us kí sifárishon kí badaulat
muhabbat ke sáth
apne bháiyon ko Masíh ke pás le jáen
aur uní ke hamráh dámí jalál hásil karne ke láiq ṭhahren
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha zinda rahtá aur sultanat kartá hain. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Hizqiál nabí kí kitáb) Ezekiel 3:17-21
Main ne tujhe isráíl ke gharáne ká pásbán banáyá hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: (Zabúr 116) Psalm117:1-2 Jamá‘ati jawáb áyat: (Marqus) Mark 16:15
Jamá‘ati jawáb:
Tamám duniyá men jákar Injíl kí manádí karo Or Hallelujah

Ai qaumo Khudáwand kí hamd karo
Ai sab ummato, us kí tausíf karo
Tamám duniyá men jákar Injíl kí manádí karo Or Hallelujah

Kyúnki us kí rahmat ham par ustawár hai
Aur Khudáwand kí wafá abad tak qáim hai
Tamám duniyá men jákar Injíl kí manádí karo Or Hallelujah

Hallelujah: (Matí) Mat 4:16
Hallelujah, Hallelujah,
Jo log andhere men baiṭhe the
Unhon ne baṛí raushní dekhí
Aur jo maut ke mulk aur sáye men baiṭhe the
Un par raushní chamkí
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Matí ke  mutábiq) Matthew 9:35-10:1
Jab Yisú‘ ne hajúm ko dekhá to use un par tars áyá

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Matí) Mat 20:28
Ibn i Insán khidmat karáne nahín balki khidmat karne aur apní ján bahuton ke badle fidyah men dene áyá hai.

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham tere Muqaddas Yúhanná Mariyá Wayání kí yád men
Pák ‘ibádat men sharík húe hain
Bakhsh de ki is fání zindagí men jo kuch karte hain
Wuh hamáre liye hamesha kí zindagí kí sa‘ádat ká wasíla bane
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

---
Saint John Mary Vianney hymn



From Wikipedia
Jean-Baptiste-Marie Vianney (8 May 1786 – 4 August 1859), commonly known in English as St John Vianney, was a French parish priest who in the Catholic Church is venerated as a saint and as the patron saint of all priests. He is often referred to as the "Curé d'Ars". He became internationally notable for his priestly and pastoral work in his parish because of the radical spiritual transformation of the community and its surroundings. Catholics attribute this to his saintly life, mortification, his persevering ministry in the sacrament of confession, and his ardent devotion to the Blessed Virgin Mary and Saint Philomena.

No comments:

Post a Comment