Friday 12 October 2012

14th October 2012, Twenty eighth Sunday in Ordinary Time B


Sál ke daurán attháíswán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 129: 3-4
Ai Khudáwand, agar tú badíon ká yád rakhne wálá hotá
to ai Khudáwand kaun ṭhahregá.
Kyúnki ai Isráíl ke Khudá tere pás gunahon kí maghfirat hai.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Hikmat kí kitáb) Wisdom 7:7-11
Hikmat ke mu‘ámale men main ne daulat hech samajhí

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 89:12-17 Jamá‘ati jawáb áyat: 14
Hamen apní rahmat se ásúda kar

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt ‘IbráníoKe Nám) Hebrew 4:12-13
Khudá ká kalám qalb ke poshída khayálon aur irádon ko jánch saktá hai.
                                             
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

(Gospel Acclamation)
Hallelujah: (Matí) Mt 11:25
Hallelujah, Hallelujah
Mubárak hai tú ai Báp
ásmán aur zamín ki Khudáwand
kyúnki tú ne bádsháhat ke bhedon ko
chhoṭon par záhir kiyá.
Hallelujah
OR
Hallelujah: (Matí) Mt 5:3
Hallelujah, Hallelujah
Mubárak hain wuh jo rúh ke gharíb hain.
Kyúnki ásmán kí bádsháhí unhí kí hai
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke  mutábiq) Mark 10:17-130
Já sab kuchh bech kar mere píchhe ho le.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 33:11
Amír gharíb ban kar bhúke húe
Par Khudá ke tálib kisí bhí ni‘mat ke muhtáj nahín honge.
OR
(1 Yúhanná) 1 John 3:2
Jab hamárá Khudáwand záhir hogá to ham bhí us kí mánind honge
kyúnki ham use waisá hí dekhenge jaisá wuh hai.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á 
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Ham tujh ‘azím Khudáwand se
‘ájizí ke sáth yih iltijá karte hain
Bakhsh de ki
Jis tarah ham Pák Sharákat le kar
Tere Beṭe ke Pák Badan aur Khún se parwarish páte hain
usí tarah is kí iláhí zát men shirkat karen
tere sáth
hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hain. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

From The Gospel of Mark by Mary Healy, comnenting on Mark 10:18 Reflecting on the Gospel for the Twenty-Eighth Sunday in Ordinary Time

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here



No comments:

Post a Comment