Monday 31 December 2012

Tuesday, 1st January 2013, The Mother of God



Solemnity Of Mary

Muqaddasa Mariyam Khudá Kí Mán Kí ‘Íd
Yakum January

khilah (Entrance Antiphon):
Ai Muqaddasa Mán tuhje salám ho aur du‘á. Tujh hí se ham ne wuh bádsháh páyá jo hamesha ke liye dono jahánon ká hukmrán hai. 
or
cf. Yasa‘iya 9:2,6; Lúqá 1:33 (cf. Isaiah 9:1; Luke 1:33)
Áj ham par núr chamkegá kyúnki ham ko ek beṭá ‘atá kiyá gayá aur us ká nám ye hai ya‘ní Khudá i Qádir, abdí Báp, salámtí ká raís aur us ki bádsháhí ká ákhir na hogá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Khudá Báp
Tú ne Muqaddasa Mariyam ke phal dár kunwárpan ke zari‘e
Baní nau‘ insán ko abdí naját kí besh-qímat ni‘mat bakhshí
‘ináyat farmá ki hamáre liye
Wuhí pák kunwárí sifárishen kartí rahe
Jis se ham ne zindagí ká bání páyá hai
Ya‘ní terá piyárá Beṭá Masíh hamáre Khudáwand jo tere sáth
Rúhu’l Quds  kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Reading
Pahlí Tiláwat:
‘Ádad kí kitab: 6:22-27 (Numbers6:22-7)
Wuh merá nám baní Isráíl par pukháren aur main unhen barakat dúngá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 66:2,3,5,6,8 Jamá‘ati jawáb áyat: 2
(Jamá‘ati jawáb) Khudá ham par rahm kare aur hamen barakat bakhshe

Dusrí Tiláwat:
Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Galatíon Ke Nám 4:4-7 (Galatians 4:4-7)
Khudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ‘aurat se paidá húá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah- ‘Ibráníon 1:1-2 (Hebrews 1:1-2)
Hallelujah Hallelujah
Guzashta zaḿane men Khudá ne ába-o-ajdád se waqt ba waqt
aur tarah ba tarah ambiyá kí mar‘ifat kalám karke,
in ákhirí aiyyám men ham se Beṭe kí mar‘ifat kalám kiyá.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Lúqá ke mutábiq 2:16-21 (Luke 2:16-21)
Unhon ne Mariyam aur Yúsuf aur nannhe bachche ko páyá…aur jab áṭh din púre ho gaye to us ká nám Yisú‘ rakhá gayá.

Tab us waqt charwáhe jaldí se Baitlahm ko gaye, aur Mariyam aur Yúsuf aur nannhe bachche ko charní men paṛá páyá, aur dekh kar wuh bát batáí jo us bachche ke haqq men un se kahí gayí thí. Aur sab sunnewálon ne un báton par ta‘ajjub kiyá jo charwáhon ne un se kahín. Par Mariyam in sab báton ko hifz[1] kar ke un par apne dil men ghaur kartí rahí. Aur charwáhe un sab báton ke liye Khudá kí tamjíd aur hamd karte húe lauṭ gaye jo unhon ne waise hí sunín aur dekhín jaisá un se kahá gayá thá.
Aur jab us ke khatna karáne ke liye áṭh din púre ho gaye to us ká nám Yisú‘ rakhá gayá, jo firishte ne us ke rihm[2] men paṛne se pahle rakkhá thá

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai kháliq Khudá
Tú sab achchhí chízon ko wajúd men látá hai
Aur un ko takmíl tak pahunchátá hai
Áj ham Khudá kí piyárí mán kí ‘íd maná rahe hain
Pas ‘ináyat kar ki ham
Jis tarah tere ibtidá’í fazl par fakhr karte hain
Usí tarah us ke púre hone tak ká surúr bhí hásil karen,
Masíh hamáre Khudáwand ke wásile se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):  ‘Ibráníon 13:8 (Hebrews 13:8)
Yisú‘ Masíh kal, aur áj, balki abad tak yaksán hai.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand Khudá
Ham iqrár karte hain ki Muqaddasa Mariyam hamesha kunwárí
Tere Beṭe kí aur hamárí bhí mán hai
Bakhsh de ki jo ásmání ni‘maten ham ne abhí páí hain
Un ke zari‘e hamesha kí zindagí hamen hásil ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wásile se. Ámín.

----
For more on why Catholics call Mary Mother of God click here
Also Check out Dr. Michael Barber's Podcast and Blog here.



[1] Memory
[2] The womb

No comments:

Post a Comment