Saturday 31 March 2012

1 April 2012, Palm Sunday, Passion Sunday


Khajúron ká Itwár
Khudáwand kí Azíyat ká Itwár
 (Palm Sunday, Passion Sunday)

The commemoration of the Lord’s Entrance into Jerusalem
Masíh Khudáwand ká Bait al-Muqaddas men dakhil honá

Antiphon: Mt 21:9
Dáúd ke Beṭe kí ho saná                     Hosha‘ná ká na‘ra gúnje sadá
Allah ke nám se jo áe                          Rab kí taraf se wuh barkat páe
Har dam ho Rája kí ham se saná         Hosha‘ná ká na‘ra gúnje sadá

Injíl I Muqaddas kí Tiláwat:
(Marqus)Mark 11.1-10  or (Yúhanná) John 12:12-16

Mass


khilah (Entrance Antiphon): cf. John12:1. 12-13; Psalm 24:9-10
Páshká kí ‘id se chha din pahle
Khudáwand Yarúshalem men áyá,
aur qaum ke farzand ṭaihníyan laihráte húe
us ke istiqbál ke liye nikale
aur yih kahte húe Khudáwand kí tamjíd karne lage:

Hosha‘ná,
mubárak hai wuh jo apní baṛi shafqat ke sáth hamáre pás á rahá hai

Ai Pháṭako apne sir baland karo,
ai qadím darwázo únche ho jáo
táki jalál ká bádsháh dákhil ho.
Yih jalál ká bádsháh kaun hai?
LashkaronKhudáwand, wuhí jalál ká bádsháh hai.

’alam-i-bálá par hosha‘ná
 mubárak hai wuh jo apní baṛi shafqat ke sáth hamáre pás á rahá hai

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Yasa‘iya nabí ká sahífa) Isaiah 50:4-7
Main ne to tauhín se apná munh nahín chhupáyá. Main jantá hún ki main sharminda na húngá.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

 Zabúr 22:8-9, 17-20, 23-24 Jamá‘ati jawáb áyat:2
(Jamá‘ati jawáb): Ai mere Khudá, ai mere Khudá, tú ne mujhe kyún chhoṛ diyá hai?

(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Filippíon ke nám) Philippians 2:6-11
Us ne apne áp ko firotan kar diyá, lekin  Khudá ne use niháyat baland kiyá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd: (Filippíon) Philippians 2:8-9
Masíh hamárí khátir maut balki salíbí maut tak farmánbardár rahá
isí wáste Khudá ne use niháyat baland kiyá
aur use wuh nám bakhshá jo har ek nám se a‘lá hai.

 Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq ) Mark 14:1-15:47
Hamáre Khudáwand Yisú‘ Masíh ke dukhon ká zikar

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

-----
From The Scared Page:
Mark's Passion Narrative & the Apocalyptic Discourse: Podcast for Passion Sunday click here
Check out the Podcast for Palm Sunday and the Passion Narrative in Mark here


Masíh kí firotaní

(Filippíon) Philippians 2:5-11

Yisú Masíh ne Khudá kí zát men ho kar
Khudá ke barábar honá ghanímat na jáná

Balki us ne apne áp ko khalí kar diyá
aur ghulám kí zát ikhtiyár karke
insánon ká mushábih ho gayá

insání shakl men páyá já kar
apne áp ko firotan kar diyá
aur maut, balki salíbí maut tak, farmánbardár rahá

aur isí wáste Khudá ne use niháyat baland kiyá
aur use wuh nám bakhshá jo har ek nám se a‘lá hai,

Táki Yisú‘ ke nám par har ek ghuṭná jhuke,
Kyá ásmán men, kyá zamín par, kyá ‘álam-e asfal men

Aur Khudá Báp ke jalál ke liye har ek zabán iqrár kare,
ki Yisú‘ Masíh Khudáwand hai
-----------

St. Paul quotes this early Christian hymn in his letter to the Philippians. This is read on Palm Sunday and also provides the Canticle on the following days:

Christmas day- Evening prayer I
Good Friday- Evening prayer
Holy Saturday- Evening prayer
The Most Sacred Hear of Jesus- Evening prayer II
Week 1, 2, 3, 4 Sunday- Evening prayer I
The Annunciation of The Lord- Evening prayer I
The Exaltation of the Holy Cross- Evening prayer I
The office for the dead- Evening prayer

For commentary by Blessed John Paul II click here  and by Pope Benedict XVI click here

Jesus and the Jewish Roots of the Eucharist: Unlocking the Secrets of the Last Supper

In recent years, Christians everywhere are rediscovering the Jewish roots of their faith. Every year at Easter time, many believers now celebrate Passover meals (known as Seders) seeking to understand exactly what happened at Jesus's final Passover, the night before he was crucified. Jesus and the Jewish Roots of the Eucharist shines fresh light on the Last Supper by looking at it through Jewish eyes. 

Using his in-depth knowledge of the Bible and ancient Judaism, Dr. Brant Pitre answers questions such as: What was the Passover like at the time of Jesus? 
What were the Jewish hopes for the Messiah? 
What was Jesus purpose in instituting the Eucharist during the feast of Passover? 

And, most important of all, 
What did Jesus mean when he said, This is my body… This is my blood? 

To answer these questions, Pitre explores ancient Jewish beliefs about the Passover of the Messiah, the miraculous Manna from heaven, and the mysterious Bread of the Presence. 

He shows, these three keys have the power to unlock the original meaning of the Eucharistic words of Jesus:
The Passover, 
The Manna, 
The Bread of the Presence 

Along the way, Pitre also explains how Jesus united the Last Supper to his death on Good Friday and his Resurrection on Easter Sunday.            

Inspiring and informative, Jesus and the Jewish Roots of the Eucharist is a groundbreaking work that is sure to illuminate one of the greatest mysteries of the Christian faith: the mystery of Jesus presence in the breaking of the bread.

Order your copy here

Dr. Pitre Launches TheHolyEucharist.com

Watch the entire Jesus and the Jewish Roots of the Eucharist by Dr. Pitre and share it with friends and family!

Download Dr. Pitre's presentation in MP4 or MP3 format by clicking the links below:

Audio File - MP3 format - 65 MB
Video File - MP4 format - 385 MB
Text Outline - PDF format - 1 MB

Jewish Roots of Catholicism


Br Bob Fishman explains the Jewish Roots of Catholicism.

Thursday 29 March 2012

Palm Sunday Mass on 1 April 2012


خداوند کی اذیت کا اتوار 

 کھجوروں کا اتوار 


Mass
 in Urdu
Date: 1 April 2012
Time: 3 pm 
Christ Church, Carr Rd, 
Nelson BB9 7EN


There is Mass in Urdu every first Sunday of the month at 3pm, Christ Church, Carr Rd, Nelson BB9 7EN
View Larger Map 

Sunday 25 March 2012

Appointment of Apostolic Administrator of Faisalabad


Vatican City (Agenzia Fides) - The Holy Father Benedict XVI on March 17, 2012 appointed His Exc. Mgr. Rufin Anthony, Bishop of Islamabad-Rawalpindi (Pakistan) as Apostolic Administrator of the vacant et nutum Sanctae Sedis to the diocese of Faisalabad, Pakistan, (SL) (Agenzia Fides 20/3/2012) 

5th Sunday of Lent (B)


Rozon ká pánchwán Itwár (B)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) cf. Psalm 43:1-2
Ai Khudá merá insáf kar aur ná pák qaum ke muqábale men merí wakálat kar. Farebí aur badkirdár ádmi se mujhe chhuṛá kyúnki tú hí merá Khudá hai jo mujhe tawánáí bakhshtá hai.

Readings
Pahlí Tiláwat:  (Irmiyá[1]) Jeremiah 31:31-34
Main un ke sáth nayá ‘ahd bándhúngá, aur un ke gunáhon ko phir yád na karún

Zabúr: 50:3-4,12-15 Jamá‘ati jawáb áyat:12
(Jamá‘ati jawáb): Ai Khudáwand mujh men ek pák dil paidá kar

Dusrí Tiláwat:
(‘Ibráníon) Hebrews 5:7-9
Us ne farmánbardárí síkhí, aur abadí naját ká bá‘is ṭhahrá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
(Yúhanná) John 12:26
Khudáwand farmátá hai:-  Agar koí merí khidmat karná cháhe, to merí taqlíd kare, aur jahán mainn wahín merá khádim hogá
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 12:20-30
Agar gehún ka dána zamín men gir kar mar játá hai ,to bahut sá phal látá hai

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Yúhanná) John 12:24
Main tum se sach sach kahtá hún, ki jab tak gehún ká dána zamín men gir kar mar nahín játá tab tak wuh akelá rahtá hai; lekin jab mar játá hai, to bahut sá phal látá hai
.........
Check out The Sacred page for a good commentary on Sunday readings: 
Jeremiah's New Covenant Prophecy and the Coming of Jesus' Sacrificial Hour. For pod cast on the Sunday Readings for the Fifth Sunday of Lent click here

Friday 23 March 2012

Walking Toward Eternity: Faithfulness




Exciting new study: Walking Toward Eternity: Making Choices For Today.

Walking Toward Eternity is a new and unique series designed to help you live your faith more fully by developing and nurturing characteristics that are essential to the Christian life. Through daily prayer and meditation with Scripture (lectio divina), you will be drawn into an intimate and life-changing encounter with Christ.


To learn  more click here

(Ya‘qúb) James 5:16, 19-20


During Lent Weeks 1-4, short Scripture readings from the Liturgy of the Hours:
Vespers:

Friday
(Ya‘qúb) James 5:16, 19-20

Is liye tum ek dúsre se apne apne gunáhon ká iqrár karo, aur ek dúsre ke liye du‘á  karo táki shifá páo, kyunki sádiq kí du‘á niháyat muassir hotí hai. Ai mere bháíon agar tum men se koí haqq kí ráh se gumráh ho jáe, aur koí us se pher láe, to tum yih ján lo ki jo koí ek gunahgár ko us kí gumráhí se phirátá hai, to wuh apní ján ko maut se bacháegá, aur gunáhon kí kasrat ko chhupáegá. 

Thursday 22 March 2012

(Ya‘qúb) James 4:7-8, 10

During Lent Weeks 1-4, short Scripture readings from Liturgy of Hours:
Vespers:

Thursday
(Ya‘qúb) James 4:7-8, 10 

Is liye Khudá ke tábi‘ ho jáo, shaitán ká sámná karo, to wuh tumháre sámne se bhág jáegá. Tum Khudá ke nazdík jáo, to wuh tumháre nazdík áegá. Ai gunahgáron tum apne háth dhoo, aur ai dodilo, apne dilon ko pák karo. Tum Khudáwand ke huzúr men firotaní karo, to wuh tumhen sarbaland karegá.

Wednesday 21 March 2012

Philippians 2:12-15a

During Lent Weeks 1-4, Short Scripture readings from the Liturgy of the Hours
Vespers:

Wednesday
(Filippíon) Philippians 2:12-15a

Aur is wáste mere piyáro, jis tarah tum hamesha farmánbardári  karte áe ho, usí tarah na tum sirf merí házirí men, balki ab bhí merí ghairházirí men bahut ziyáda darte, aur thartharáte húe apní naját ke kám kiye jáo; kyúnki  Khudá hí hai jo tum men apní marzí kí takmíl ke liye níyat aur ‘amal dono, paidá kartá hai, aur sab kám be-kuṛkuṛáye aur bilá-shubh karo; táki tum be-‘aib aur sádah ho kar, is ṭeṛhí aur kaj-raftár pusht ke darmiyán Khudá ke farzand bane raho.

Tuesday 20 March 2012

James 2:14, 17, 18b

During Lent Weeks 1-4, short Scripture readings from the Liturgy of the Hours:
Vespers:

Tuesday
(Ya‘qúb) James 2:14, 17, 18b

Ai bháío, agar koí kahe, ki main ímán rakhtá hún magar a‘mál na rakhtá ho, to kyá fáida? Kyá aisá ímán bachá saktá hai? Isí tarah ímán ke sáth agar a‘mál na hon to wuh apne áp men murda hí hai. Tú apne ímán baghair a‘mál ke mujh par záhir kar, aur main apne a‘mál se ímán ko tujh par záhir karúngá.

Monday 19 March 2012

(Romíon) Romans 12:1-2

During Lent Weeks 1-4, short Scripture readings from the Liturgy of the Hours:
Vespers:

Monday
(Romíon) Romans 12:1-2

Pas, ai bháío, main Khudá kí rahmton ká wásta de kar tum se iltimás kartá hún, ki tum apne badan Khudá ke liye ek zinda, aur muqaddas, aur Khudá kí pasandída qurbání hone ke liye pesh karo, yihí tumhárí ma‘qbúl ‘ibádat hai. aur is duniyá ke muwáfiq na bano balki apne bátin ki tajdíd se apní súrat tabdíl karte jáo, táki tum Khudá kí marzí ká ya‘ní neki, aur pasandídgí, aur kamál ká imtiyáz kar sako.

Sunday 18 March 2012

4th Sunday of Lent


Rozon ká chauthá Itwár (B)
(Laetare Sunday)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Yasa‘iya) cf. Isaiah 66:10-11
Yarúsalem ke sáth khushí karo, aur us ke sáth shádmán ho. Tum sab jo us se muhabbat rakhte ho, musarrat[1] se ma‘múr ho kar naghma saráí karo. Tum sab jo mátam karte ho, aur tasallí pá kar ásúda ho

Readings
Pahlí Tiláwat:  (2Aḳhbár ) 2Chronicles 36:14-16. 19-23
Khudá ká ghazab aur rahm us kí qaum jalá-wátaní aur raháí se záhir hotá hai

Zabúr: 136:1-6 Jamá‘ati jawáb áyat: 6
(Jamá‘ati jawáb): agar main tujhe yád na karún to merí zabán mere tálú se chipaṭ jáe

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Ifisíon ke nám) Ephesians 2:4-10
Tum gunáhon ke sabab se murda the fazl ke wasíle se bacháe gaye ho.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
(Yúhanná) John 3:16
Khudá ne duniyá ko aisá piyár kiyá ki us ne apná iklautá Beṭá bakhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe wuh halák na ho balki hamesha kí zindagí páe.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 3:14-21
Khudá ne apná Beṭá duniyá men bhejá táki duniyá us ke wasíle se naját páe.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) cf. Psalm 121:3-4
Bait al muqaddas shahr kí mánind pukhta ittihád se ta‘mír húá hai.
wahan qabíle ya‘ní Khudáwand ke qabíle,
 Khudáwand ke nám ká shukr karne játe hain.


[1] Masarrat: delight, happiness

What is Laetare Sunday?
The fourth, or middle, Sunday of Lent, so called from the first words of the (Entrance Antiphon) Introit at Mass, "Laetare Jerusalem" — "Rejoice, O Jerusalem" "Yarúsalem ke sáth khushí karo". Click here and here for more info.

Sunday 11 March 2012

3rd Sunday of Lent. March 11th 2012


Rozon ká Tísrá Itwár

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) cf. Psalm 24:15-16
Merí ánkhen har waqt Khudáwand  kí taraf lagí rahtí hain
kyúnki wuhí, mere panw ko phandon se bacháegá.
Ai Khud́wand, merí taraf mutawajjih ho, aur mujh par rahm kar 
kyúnki main bekas aur musíbat men mubtilá hún.
Or
(Hizqíel) cf. Ezekiel 36.23-26
Khudáwand farmátá hai ki jab tumháre zari‘ah merí taqdís hogí
to main tumhen sab mulkon men se jama‘ karúngá .
Main tum par pání chhiṛkún
aur tum har dágh se pák sáf ho jáoge, 
Main tumháre bátin men ek nayí rúh ḍalúngá.

Readings
Pahlí Tiláwat:  (Khurúj) Exodus 20:1-17
Sharí‘at  Músá ke wasíle se dí gaí

Zabúr: 18:8-11 Jamá‘ati jawáb áyat: Jn 6:68
(Jamá‘ati jawáb): Ai Khudáwand, hamesha kí zindagi kí báten tere hí pás hain.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon ke nám) 1 Corinthians 1:22-25
Ai bháiyon, Yahúdí to kirishme cháhte hain, aur Yúnání hikmat kí talásh men hain. Magar ham us Masíh i maslúb kí manádí karte hain, jo Yahúdíon ke nazdík ṭhokar ká bá‘is, aur ghairqaumon ke nazdík hamáqat hai. Lekin buláe húon ke nazdík hí, kyá Yahúdí, kyá Yúnání Masíh Khudá kí qudrat, aur Khudá kí hikmat hai. Kyúnki Khudá kí taraf kí hamáqat, ádmíon se dáná tar hai. Aur Khudá kí taraf kí kamzorí, ádmíon se zor áwar hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
(Yúhanná) John 11:25.26
Khudá farmátá hai. Qiyámat aur zindagí mainn jo koí mujh par ímán látá hai, wuh abad tak kabhí na maregá.
Or
(Yúhanná) John 3:16
Khudá ne duniyá ko aisá piyár kiyá ki us ne apná iklautá Beṭá bakhsh diyá, táki jo koí us par ímán láe wuh halák na ho balki hamesha kí zindagí páe. 
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 2:13-25
Is haikal ko ḍhá do, aur main tín din men use khaṛá kar dún

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) cf. Psalm 83:4-5
Chiṛiyá ko ṭhikáná miltá hai
aur abábíl ko ghonslá jahán wuh apne bachchon ko rakhe,
yani ai mere bádsháh mere Khudá
tere mazbahon ke pás mubárak hain wuh jo tere ghar men rahte hain.
Wuh hamesha terí sitáish karenge.