Friday 18 January 2013

20th January 2013, 2nd Sunday in Ordinary Time



Sál ke daurán dúsrá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 65:4
Ai Khudá tamám dunyá tujhe sijda kare.
Ai Haqq Ta‘álá, wuh tere nám ká gít gáe.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutliq aur azlí Khudá
Tú ásmán aur zamín kí har shai par hakúmat kartá hai
Mihrbání se apní ummat kí iltijáon ko sun
Aur hamáre in dinon men hamen apní salámatí ‘atá kar
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings

Pahlí Tiláwat:
Isha‘yá nabí ká sahífa (Isaiah 62:1-5)
Dulhá apní dulhan se khush hotá hai

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 95:1-3, 7-10 Jamá‘ati jawáb áyat: 3
(Jamá‘ati jawáb): Sab ummaton men us ke ‘ajáibát ká bayán karo
                                                                                             
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1Corinthians 12:4-11
Wuhí ek Rúh apní razá ke mutábiq tarah tarah kí ni‘maten logon ko bánṭ kar detá hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Yúhanná) John 6:64,69
Hallelujah Hallelujah 
Ai Khudáwand terí báten rúh hain aur zindagí bhí hain
Zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah 

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Yúhanná ke mutábiq (John 2:1-11)
Nishánon ká yih shurú‘ Yisú‘ ne Qáná-e Jalíl men kiyá

Un dinon men Qáná-e Jalíl men biyáh húá, aur Yisú‘ kí mán wahán thí. Aur Yisú‘ aur us ke shágird bhí us biyáh men buláe gae the. Aur jab mai ghaṭ gaí, to Yisú‘ kí mán ne use kahá, ki un ke pás mai nahín rahí. Aur Yisú‘ ne use kahá, Ai khátún, mujhe aur tujhe kyá? Merá waqt hanoz nahín áyá. Us kí mán ne khádimon se kahá, jo kuchh yih tum se kahe wuh karo. Aur wahán Yahúdíon kí rasme tahárat ke liye patthar ke chha maṭke dhare the, jin men do do yá tín tín bat samáte the. Yisú‘ ne un se kahá, ki maṭkon men pání bharo. So unhon ne unhen lab á lab bhar diyá. Aur us ne un se kahá, ki ab nikálo, aur mir i ziyáfat ke pás le jáo. Aur wuh le gae. Jab mir i ziyáfat ne wuh pání chakhá jo mai ban gayá thá aur na jántá thá ki yih kahán se áí hai (magar khadim, jinhon ne wuh pání nikálá thá, jánte the) to mir i ziyáfat ne dúlhá ko buláyá, aur use kahá, ki har shakhs pahle achchhí mai kharch kartá hai, aur ma‘múlí us waqt jab ki sab khúb pí chuken, magar tú ne achchhí mai ab tak rakh chhoṛí hai.

Nishánon ká yih shurú‘ Yisú‘ ne Qáná-e Jalíl men kiyá, aur us ne apná jalál dikháyá, aur us ke shágird us par ímán láe. Is ke ba‘d wuh us kí mán aur bháí aur us ke shágird Kafarnahúm ko gaye, magar wahán bahut din na rahe.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham jánte hain ki jitní dafah ham
Tere Beṭe kí salíbí qurbání kí yád táza karte hain
Utní dafah hamárí naját ká kám púrá hotá hai
Pas ‘ináyat kar ki láiq taur par yih pák ‘ibádat adá karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 22:5
Tú ne mere áge dastarkhwán bichháyá hai aur wuh labrez piyála bhí rakkhá hai jis se ham khush hote hain.
Or
(1 Yúhanná) 1 John 4:16
Jo mahabbat Khudá ham se rakhtá hai ham ne use mahsús kiyá aur sach ján liyá

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apní mahabbat kí rúh ko ham men unḍel de
Aur jinhen tú ne
Ek hí ásmání roṭí se ser kiyá hai
Inhen apní mahabbat men yak-dil baná de
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
 ...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment