Friday 25 January 2013

27th January 2013, 3rd Sunday in Ordinary Time



 
Sál ke Daurán Tísrá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 95:1, 6
Khudáwand ke liye ek nayá gít gáo ai sárí zamín Khudáwand ke liye gáo
‘Azmat aur buzurgí us ke huzúr hain qudrat aur jamál us ke maqdis men hain

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir I Mutliq aur azlí Khudá
Apní marzi ke mtábiq hamáre kámon kí hidáyat kar
Táki ham tere piyáre Beṭe ke nám se
Nek kámon ká bahut phal láne ke qábil hon
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Nahamiyáh nabí kí kitáb) Nehemiah 8:2-6, 8-10
‘Azrá ne Khudá kí sharí‘at men se paṛhá aur logon ko samajháyá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 18:8-10, 15 Jamá‘ati jawáb áyat: (Yúhanná) John 6:63
(Jamá‘ati jawáb): Ai Khudáwand terí báten rúh hain, aur zindagí bhí

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Qurinthíon Ke Nám) 1Corinthians 12: 12-30
Tum sab báham mil kar Masíh ká badan ho lekin har ek is ká mukhtalif ‘uzu hai.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Lúqá) Luke 4:13,19
Hallelujah Hallelujah 
Khudáwand ne mujhe is liye bhejá hai
ki miskínon ko khushkharí aur qaidíon ko riháí dún.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
Muqaddas Lúqá ke mutábiq (Luke 1:1-4, 4:14-21)
Yih nawishta áj púrá ho rahá hai

Chunki aksaron ne yih koshish kí hai ki un báton ko bátartib bayán karen, jo hamáre darmiyán wáqi‘ húín, jis tarah ki unhon ne ham se riwáyat kí jo surú‘ hí se khúd sháhid aur kalám ke khádim rahe. Is liye ai mu‘azzaz Theofilus main ne bhí munásib samjhá ki sab kuchh surú‘ hí se ṭhík ṭhík daryáft kar ke bátartib terí khidmat men tahrir karún. Táki jin báton kí tú ne ta‘lím hasil kí hai tú un kí pukhtagí mal‘úm kare.

Yisú‘ Rúh kí quwwat se Jalíl ko lauṭá aur ás pás ke sáre ‘iláqah men us kí shuhrat phail gayí, aur un ke ‘ibádat-khánon men ta‘lím detá rahá, aur sab us kí ta‘ríf  karte rahe.

Phir wuh Násrat men áyá jahán us ne parwarish páí thí, aur apne dastúr ke mutábiq Sabt ke din ‘ibádatkháne men gayá, aur paṛhne ko khaṛá húá. Aur Isha‘yá nabí ká túmár us ko diyá gayá, aur jab us ne túmár kholá to wuh maqám páyá jahán yih likhá thá, ki

Rúh-i Khudáwand mujh par hai
Is liye us ne mujhe masah kiyá
ki miskínon ko khushkharí dún.
Us ne mujhe is liye bhejá hai,
ki qaidíon ko riháí,
Aur andhon ko bínáí
aur kuchle húon ko ázádí bakhshún,
aur Khudáwand ke sál i maqbúl ko mushtahar karún.

Aur wuh túmár ko lapeṭ kar aur khádim ko wápás de kar baiṭh gayá; aur jo ‘ibátatkháne men the un sab kí ánken us par lagí thín. Tab wuh un se kahne lagá ki áj yih nawishta púrá ho kar tumháre kánon men pahunchá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Hamáre Nazráne pasand kar aur qabúl farmá
In ko hamáre liye pák ṭhahrá
Táki wuh hamárí naját ká mu’assir zari‘a banen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Zabúr) cf. Psalm 33:6
Tum Khudáwand  kí taraf nigáh karo, táki munawwar ho jáo.
Aur tumháre chihron par sharmindagí na áe.
Or
(Yúhanná) John 8:12
Khudáwand farmátá hai ki Main dunyá ká núr hún
jo merí pairawí kartá hai wuh andhere men nahin chaltá
balki zindagí ka núr páegá.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á 
Ai Qádir I Mutliq Khudá
‘ináyat kar ki ham terá zindagí bakhsh fazl pákar
Hamesha terí bakhshishon kí qadr karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
 ...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment