Thursday 24 January 2013

The Conversion of Saint Paul



(Rasúlon ke A‘mál) Acts 9:1-22

Sháúl hanoz Khudáwand ke shagirdon ke dhamkáne aur qatl karne ká dam mártá húá, káhin-i  a’zam ke hán gaya, Aur us se Damishq ke ‘ibádat khánon ke liye is mazmún ke khatt mánge, ki jinhen wuh is Taríq par páe, khwáh mard, khwáh zan, unhen bándh kar Yarúshalem men láe. Aur jab wuh safar  karte karte Damishq ke nazdík pahunchá, to yún húá ki yakbáragí ásmán se ek núr us ke gird á chamká. Aur wuh zamín par gir paṛá, aur use ek áwáz yún kahte sunáí dí ki Sháúl! Sháúl! tú mujhe kyún ízá detá hai? Us ne kahá, Ai Khudáwand, tú kaun hai ? Us ne kahá, Main Yisú‘ hún, jise tú ízá detá hai: magar uṭh aur shahr men já aur aur jo tujhe karná hogá wuh tujhe batáyá jáegá. Jo ádmí us ke hamráh the, wuh hairán ho kar khiṛe rah gaye. Kyúnki áwáz to sunte the, magar kisí ko dekhte na the. Aur Sháúl zamín par se uṭhá, aur jab us ne ánkhen kholín, to kuchh dikháí na diyá. Tab wuh us ká háth pakaṛ kar use Damishq men le gaye. Aur wahán tín din tak ná-bíná rahá, aur na khátá na pítá thá.

Ab Damishq men Hananyáh námí ek shágird thá, aur Khudáwand ne royá men us se kahá, Ai Hananyáh ! Wuh bolá, Ai Khudáwand, main házir hún. Khudáwand ne us se kahá, uṭh aur us kúche men já jo Sídhá kahlátá hai, aur Yahúdáh ke ghar men Sháúl námí Tarsúsí ko puchh le, kyúnki dekh wuh du‘á kar rahá hai. Aur us ne bhí royá men dekhá hai ki Hananyáh námí ek ádmí ne andar á kar mujh par háth rakhe hain táki ki phir bínáí páún. Magar Hananyáh ne jawáb diyá, ki ai Khudáwand  main ne bahuteron se us shakhs kí bábat suná hai ki us ne Yarúshalem men tere muqaddason ke sáth kaisí kaisí  buráiyán kí hain. Aur yahán bhí us ne sardár káhinon kí taraf se ikhtiyár páyá hai, ki un sab ko bándh le jo terá nám lete hain. Magar Khudáwand ne us kahá, tú já; kyúnki yih merá chuná húá wasíla hai, ki mere nám ko g̣hair qaumon , aur bádsháhon, aur baní Isráíl par záhir kare, aur main use dikhá dúngá, ki mere nám ke liye use kitná dukh uṭháná paṛegá. Tab Hananyáh gayá aur us ghar menkhil húá aur us par háth rakh kar kahá, ai bháí Sháúl, Khudáwand, ya‘ní yisú‘ ne mujhe bhejá hai, jo tujh par us ráh men záhir húá, jis se tú áyá thá. Táki tú, phir bínáí páe, aur Rúhu’l Quds se bhar jáe. Filfaur us kí ánkhon se jhillí sí gir paṛí, aur wuh bíná ho gayá, aur uṭh kar baptisma páyá, phir kuchh khá kar táqat páí.

Aur wuh kaí din un shágirdon ke sáth rahá jo Damishq men the. Aur fauran ‘ibádat khánon men Yisú‘ kí manádí karne lagá, ki wuh Khudá ká Betá hai. Aur sab sunnewále hairán hokar kahne lage; Kyá yih wuh nahín jo Yarúshalem men is nám ke lene wálon ko tabáh kartá thá, aur yahán bhí is liye áyá, ki unhenndh kar sardár káhinon ke pás le jáe? Lekin Sháúl ko aur bhí quwwat hásil hotí gayí, aur wuh us bát ko sábit kar ke ki Al-Masíh yihí hai, un Yahúdíon ko jo Damishq men rahte the hairat dilátá rahá.

***

For audio course on The Gospel According to Saint Paul by Dr. Scott Hahn click here

No comments:

Post a Comment