Friday 15 February 2013

17th February 2013, 1st Sunday of Lent C



Rozon Pahlá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) cf. Psalm 90:15-16
Wuh mujhe pukáregá aur main us kí sunongá.
Main use  chhuṛáúngá aur use jalál bakhshúngá.
Main use ayám kí darází se mutmain karúngá aur apní naját use dikáún

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir ásmání Báp
‘ináyat kar ki ham in chálís dinon kí sálána ‘ibádat ko
Apní rúhání tabdílí ká nishán mánte húe
Masíh kí maut aur jí uṭhne ke bhed ká ‘ilm hásil karen
Aur láiq zindagí se is ká phal zahir karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín.

Readings
Pahlí Tiláwat:  (Tasniyah Shara‘) Deuteronomy 26:4-10
Khudá kí chuní húí qaum ká ‘aqídah

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 90: 1-2, 10-15 Jamá‘ati jawáb áyat: 15
Jamá‘ati jawáb: Ai Khudáwand musíbat ke waqt mere sáth ho.

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Romíon Ke Nám) Romans 10:8-13
Masíhon‘aqídah

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Na‘rah-e Hamd:
(Matí) Matthew 4:4
Insán sirf roṭí hí se nahín jítá
balki har ek Kalme se jo Khudá ke munh se nikaltá hai.

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 4:1-13
Rúhu’l Quds, Yisú‘ ko biyábán men le gayá aur wahán shaitán se ázmáyá játá rahá.

Us waqt Yisú‘Rúhu’l Quds se ma‘múr ho kar Urdan se lauṭá, aur wuh Rúh kí hidáyat se biyábán ko gayá, chálís din tak, aur shaitán se ázmáyá játá rahá. Aur un dinon men us ne kuchh na kháyá aur jab din púre ho gaye, to use bhúk lagí. Tab shaitán ne us se kahá; ki agar tú Khudá ká Beṭá hai, to is patthar ko kah, ki roṭí ban jáe. Yisú‘ ne use jawáb diyá; likhá hai, ki insán sirf roṭí hí se nahín, balki Khudá ke har kalme se zinda rahegá.
 Aur shaitán ne use ek únche paháṛ par le já kar duniyá kí sárí mamlukaten pal bhar men dikháín, aur shaitán ne us se kahá; ki main yih sárá ikhtíyár aur un kí shán o shaukat tujhe dúngá kyúnki yih mujhe saunpe gaye hain, aur jise cháhtá hún detá hún. Pas agar tú mere áge sijda kare to sab terá hogá. Yisú‘ ne jawáb men us se kahá; likhá hai, ki
Khudáwand apne Khudá ko sijda kar,
Aur sirf usí kí ‘ibádat kar.
Phir wuh use Yarúshalem men le gayá, aur haikal ke kangure par khaṛá kar ke us se kaha; agar tú Khudá ká Beṭá hai to apne áp ko yahán se níche girá de, kyúnki likhá hai, ki
Us ne apne firishton ko terí bábat hukm kiyá
Ki terí hifázat karen
Aur ki
Wuh tujhe háthon par uṭhá lenge
Aisá na ho ki pánw ko kisí patthar se choṭ lage.
Aur Yisú‘ ne jawáb men us se kahá; kahá gayá hai, ki
Khudáwand apne Khudá ko mat ázmá
Aur shaitán jab tarah tarah kí ázmáishen khatam kar chuká, to muqarrarah waqt tak us se alag rahá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai mihrbán Khudá
Ham maqbúlíyat ke in dinon kí qábil-i ta‘zím rasmen
Is qurbání ke sáth surú‘ karte hain
Bakhsh de ki ham is ke muwáfiq
Munásib taur par apne áp ko tabdíl karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Matí) Matthew 4:4
Insán sirf roṭí hí se nahín jítá
balki har us Kalme se jo Khudáwand ke munh se nikaltá hai.
or
(Zabúr) Psalm 90:4
Khudáwand tujh par apne paron ká sáya karegá
aur us ke bázúon ke níche tujhe panáh milegí.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á
Ai Málik Báp ásmání
Ham ne wuh ásmání roṭí kháí hai
Jis se hamárá ímán parwán chaṛhtá
Hamárí ummed baṛhtí
Aur hamárí muhabbat mazbút hotí hai
‘ináyat kar ki ham hamesha us naját dahinda ko cháhne wále rahen
Jo hamárí haqíqí aur zinda roṭí hai
Níz tere munh kí har bát zinda rahen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment