Friday 12 April 2013

14th April 2013, 3rd Sunday of Easter C


Páshká ká Tísrá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon): (Zabúr) Ps 66:1-2
Ai kull mulko! Khudá ke liye Khushí ka na‘ra máro.
Us ke nám ke jalál ká gít gáo,
Hamd karte húe us kí ta‘ríf karo.
Hallelujah

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai mihrbán Khudá
‘atá kar ki terí ummat rúhání táza zindagí pá kar
Har waqt khush rahe
Táki ab wuh le-pálak hone kí shán kí bahálí ke sabab khushí ho
Aur shukrguzárí ke sáth jí uṭhne kí púrí ummed rakh saken
Masíh hamáre Khuáwand ke wasile se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 5:27-32, 40-41
Ham sab aur Rúhu’l Quds in sab báton ke gawáh hain.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 29:2, 4-6, 11-13. Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb:
Ai Khudáwand main terí ta‘jím karúnga,
kyúnki tú ne mujhe chhuṛáyá hai.
or
Hallelujah, Hallelujah, Hallelujah
Dusrí Tiláwat:
(Mukáshafa) Revelation 5:11-14
Barra jo Zabh kiyá gayá, wuh daulat aur qudrat ke láiq hai.
                                             
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

(Gospel Acclamation)
Hallelujah: cf. (Lúqá) Luke 24:32
Hallelujah, Hallelujah,
Ai Khudáwand Yisú‘, jab tú ham se báten kare,
To ham par nawishton ko munkashif  kar,
Hamáre dilon ko purjosh baná.
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq ) John 21:1-19
Yisú‘ áge áyá aur roṭí le kar un ko dí, isí tarah machhlí bhí.

Us waqt Yisú‘ ne phir apne áp ko tabáriyá kí jhíl ke kináre shágirdon par záhir kiyá, aur is tarah záhir kiyá. Shama‘ún Patras aur Tomá ‘urf Didumús aur Qáná e Jalíl ká Nathan’el aur Zabdí ke beṭe, aur us ke do aur shágird ikaṭṭhe the. Shama‘ún Patras ne un se kahá; ki main machhlí ke shikár ko játá hún. Unhon ne us se kahá ham bhí tere sáth chalte hain, pas wuh nikal kar kishtí par chaṛhe, magar us rát kuchh na pakṛá. Aur subh húí to Yisú‘ kináre par á khaṛá húá, lekin shágirdon ne na pahcháná ki yih Yisú‘ hai. Tab Yisú‘ ne un se kahá, ai naujawáno, kyá tumháre pás kuchh kháne ko hai? Unhon ne use jawáb diyá ki nahín. Us ne un se kahá kishtí kí dahiní taraf jál ḍálo, to tum páoge. Pas unhon ne ḍálá aur machhliyon kí kasrat ke sabab se khench na sake. Tab us shágird ne jise Yisú‘ piyár kartá thá, Patras se kahá; ki yih to Khudáwand hai, pas Shama‘ún Patras ne yih sun kar ki Khudáwand hai, chug̣hah kamar se bándhá (kyúnki chár-jámah thá),  aur  jhíl men kúd paṛá. Aur báqí shágird machhliyon ká jál khenchte húe kishtí par áe (kyúnki wuh kináre se kuchh dúr na the, balki taqríban do sau háth ká fásila thá).
  Pas, júnhí kináre par utre, to unhon ne koelon kí ág, aur us par machhlí rakkhí húí dekhí aur roṭí bhí. Yisú‘ ne un se kahá un machhliyon men se láo jo tum ne abhí pakṛí hain. Shama‘ún Patras ne chaṛh kar jál kináre parr khenchá, yih ek sau trepan baṛí baṛí machhliyon se bhará húá thá, magar báwujúd is ke ki itní thín jál na phaṭá. Yisú‘ ne un se kahá; áo, náshta kar lo. Shágirdon men se kisí ko jur’at na húí ki us se púchhte ki tú kaun hai? Kyúnki wuh jánte the, ki Khudáwand hí hai. Yisú‘ áyá aur roṭí le kar unhen dí. Isí tarah machhlí bhí. Yih tísrí martaba thá ki Yisú‘ murdon men se jí uṭhne ke ba‘d shágirdon ko dikháí diyá.
  Aur jab wuh náshta kar chuke, to Yisú‘ ne Shama‘ún Patras se kahá; ai Shama‘ún bar Yuná, kyá tú in se ziyáda mujhe piyár kartá hai? Us ne us se kahá ki hán, ai Khudáwand tú to jántá hí hai, ki main tujhe piyár kartá hún. Us ne us se kahá, ki tú mere barre chará. Us ne dobára us se kahá, ai Shama‘ún bar Yuná, kyá tú mujhe piyár kartá hai? us ne us se kahá ki tú to jántá hí hai, ki main tujhe piyár kartá hún. Us ne us se kahá, ki tú  merí chhoṭí bheṛon kí gallabání kar. Us ne seh bára us kahá, ki ai Shama‘ún bar Yuná, kyá tú mujhe piyár kartá hai? Aur us se kahá ki ai Khudáwand tú to sab kuchh jántá hai, tujhe ma‘lúm hí hai, ki main tujhe piyár kartá hún. Yisú‘ ne us se kahá ki tú merí bheṛen chará.
  Main tujh se sach sach kahtá hún, ki jab tak tú jawán thá áp apní kamar bándhtá thá, aur jahán kahín cháhtá thá játá thá, magar jab tú búṛhá hogá to apne háthon ko phailáegá, aur dúsrá terí kamar bándhegá, aur wahán le jáegá jahán tú na cháhe. Us ne in báton se ishára kiyá, ki wuh kis tarah kí maut se Khudá ká jalál záhir karegá. Aur yih kah kar us se kahá, ki mere píchhe ho le.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Apní shádmán kalísiyá ke nazráne qabúl farmá
Tú ne use baṛí khushí manáne ká mauqa‘ bakhshá hai
‘ináyat kar ki us ke farzand
Hamesha kí khushí ká lutf uṭhaen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon): (Yúhanná) John 21:12-13
Khudáwand Yisú‘ ne apne Shágirdon se kahá ki: Áo náshta kar lo
aur us ne roṭí lekar unhen dí. Hallelujah

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Apne bandon par rahm kí nigáh kar
Tú ne mihrbán ho kar Pák Sákráminṭon ke zarí‘e hamen nayá kar diyá hai
Ab hamen jalál ke sáth jí uṭhne aur zindagí hásil karne kí taufíq de
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín

...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment