Friday 19 April 2013

21st April 2013, 4th Sunday of Easter C


Páshká ká Chauthá Itwár C

khilah (Entrance Antiphon): Cf. (Zabúr) Ps 32: 5-6
Zamín Khudá kí shafaqat se ma‘múr hai.
Ásmán Khudá ke kalme se banáyá gayá.
Hallelujah

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Qádir i Mutlaq Khudá
Hamen ásmání khushíon ke mulk men le já
Táki terá g̣haríb gallah wahán pahúnche
Jahán us ká hoshyár aur wafádár Chaupán us ke áge áge chalá
Aur ab tere sáth Rúhu’l Quds kí wahdaniyyat men Khudá hote húe
Hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur saltanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:  
(Rasúlon ke A‘mál) Acts 13:14, 43-52
Ham g̣hair qaumon kí taraf mutawajjih hon.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.
Zabúr: Psalm 99:1-3, 5. Jamá‘ati jawáb áyat: 3
Jamá‘ati jawáb: Ham us kí ummat aur us kí charágáh kí bheṛen hain.
or
Hallelujah!

Dusrí Tiláwat:
(Mukáshafa) Revelation 7:9, 14-17
Barra un kí gallabání karegá aur un ko áb-i-hayát ke chashmon tak pahuncháegá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barakat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: cf. (Yúhanná) Jn10:14
Hallelujah, Hallelujah,
Khudáwand farmátá hai: Achchhá charwáhá mainn,
Main apní bheṛon ko jántá hún, aur wuh mujhe jántí hain
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Yúhanná ke mutábiq) John 10:27-30
Main apní bheṛon ko hamesha kí zindagí bakhshtá hún.

Us waqt Yisú‘ ne kahá: merí bheŕen merí áwáz suntí hain,
aur main unhen jántá hún, aur wuh mere píchhe píchhe chaltí hain;
aur main unhen hamesha kí zindagí bakhshtá hún;
aur wuh abad tak kabhí halák na hongí,
aur koí unhen mere háth se  chhín na legá.
Jo mere Báp ne mujhe diyá hai, wuh sab se baṛá hai,
aur koí mere Báp ke háth se chhín nahín saktá.
Main aur Báp ek hain.

Injíl i Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Bakhsh de ki ham hamesha
Apne áp ko in páshkáí rasmon ke sabab khush qismat jánen
Táki hamárí khushí kí lagátár asar
Hamárí hamesha kí zindagí ká sabab ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.


Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Nek Chaupán apní bheṛonkhátir ján de kar
aur apne galle ke liye maut saih kar
murdon men se zinda húá

Pák Sharákat ke ba‘d kí du‘á
Ai nek Chaupán
Mihrbání se apne galle kí nigahbání kar
Tere Beṭe ne apná besh qímat khún bahá kar
bheṛon ko bachá liyá
Apne karam se in ko dáimí charágáhon men le já
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín
...
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment