Friday 26 July 2013

28 July 2013, 17th Sunday in Ordinary Time C


Sál ke daurán satrahwán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
 (Zabúr) Cf. Psalm 67: 6-7, 36
Khudá jo apne pák maskan men rahtá hai
ya‘ní wuh Khudá jo bekason ko ghar men basátá hai
wuhí apne logon ko quwat aur táqat bakhshegá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai niháyat shafíq Khudá
Tú apne bharosá rakhne wálon ko bacháe rakhtá hai
Tere siwá koí bhí qawí aur pák nahín hai
Hamen apní rahmat kasrat se dikhá
Táki terí himáyat aur hidáyat ke sáth ham
Is jahán kí fání chízen aise taríqe se isti‘mál men láen
Ki ákhirat men abdí chízen mírás men pá saken
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Takwín kí kitáb) Genesis 18:20-32
Ai Khudáwand khafá na honá, agar main ek dafah aur ‘arz karún

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Responsorial Psalm
Zabúr: Psalm 137: 1-3, 6-8 Jamá‘ati jawáb áyat: 3
Jamá‘ati jawáb:  Ai Khudáwand jis din main ne pukárá tú ne merí sun lí
Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Khatt Kulussíon ke nám) Colossians 2:12-14
Khudá ne hamen bhí us ke sáth zinda kiyá hai, us ne hamáre sab gunáh bakhsh diye hain.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: (Yúhanná) John 1:14, 12
Hallelujah, Hallelujah
Kalma mutajassad húá, aur ham men sukúnat pazir húá.
Jinhon ne use qabúl kiyá.
Us ne unhen iqtidár bakhshá ki Khudáwand ke farzand banen.
Hallelujah 
Hallelujah: (Rúmíon) Romans 8:15
Hallelujah, Hallelujah
Tum ne tabanníat kí rúh páí hai
Jis se ham pukár kar Abbá ya‘ní, ai Báp kahte hain
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 11:1-13
Mango to tumhen diyá jáegá

Yisú‘ ek jagah du‘á kar rahá thá. Jab kar chukka to us ke shágirdon men se kisí ne us se kahá: Ai Khudáwand, hamen du ‘á karná sikhá jaisá ki Yúhanná ne bhí apne shágirdon ko sikháyá. Us ne un se kahá ki jab du‘á karo to khao:
“Ai Báp, tere nám kí taqdís ho,
terí bádsháhí áe
Hamáre rozíne kí roṭí roz marrah hamen diyá kar.
Aur hamáre gunáh hamen bakhsh,
kyúnki ham bhí apne har ek qarzdár ko bakhshte hain,
aur hamen ázmáish men paṛne na de”

Aur us ne un se kahá, tum men se kisí ká ek dost ho, aur wuh ádhí rát ko us ke pás já kar kahe, Ai dost, mujhe tín rotiyán udhár de. Kyúnki merá dost safar kar ke mere pás áyá hai, aur mere pás kuchh nahín, ki us ke áge rakkhún ? Aur wuh andar se jawáb men kahe, ki mujhe taklíf na de; ki ab darwáza band hai, aur mere bachche mere sáth bichhaune par hain, main uṭh nahín saktá ki tujhe dún. Main tum se kahtá hún, agar wuh is sabab se, ki us ká dost hai, uṭh kar na de sake, magar us kí behayáí ke sabab se jo kuchh darkár hai use degá. Pas main tum se bhí kahtá hún, Mángo, to tumhen diyá jáegá; ḍhúnḍho, to páoge; khaṭ- khaṭáo, to tumháre liye kholá jáegá. Kyúnki har ek, jo mángtá hai, use diyá játá hai; aur jo ḍhúnḍhtá hai, wuh pátá hai ; aur jo khaṭkhaṭátá hai, us ke liye kholá jáegá. Tum men se kaun sá báp aisá hai, ki jab beṭá roṭí mánge, to use patthar de ? yá machhlí mánge, to machhlí ke badle use sánp de? Yá anḍá mánge, to use bichchhú de ? Pas jab tum burе ho kar, apne bachchon ko achchhí chízen dená jánte ho, to kis qadar ziyáda, tumhárá ásmání Báp unhen jo us se mángte hain, nek Rúh kyún na degá.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú hamen apní fayyází se hamáre isti‘mál ke liye wuh chízen detá hai
Jin men se ham is waqt yih hadye tere pás láe hain
In ko qabúl farmá
Táki tere fazl kí muassir quwwat se
Yih niháyat pák ‘ibádat hamen is zindagí men
Nek kám karne aur pák hone kí himmat diláe
Aur hamesha kí khushíon ke maqám tak pahuncháe
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
 (Zabúr) Ps 102: 2
Ai merí ján Khudáwand ko mubárak kah
aur us ke kisí ihsán ko farámosh na kar.
Or
(Matí) Mt 5: 7-8
Mubárak hain wuh jo rahmdil hain un par rahm kiyá jáegá.
Mubárak hain wuh jo pák dil hain wuh Khudá ko dekhenge.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Ham ne wuh iláhí sákráminṭ liyá hai
Jo tere piyáre Beṭe ke dukhon kí dáimí yádgár hai
Aur jo us ne khud hí apní intiháí muhabbat se
Hamen ‘atá kiyá hai
‘ináyat kar ki yih hamárí naját ke liye mufíd ho
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
Podcast:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment