Friday 20 September 2013

22 September 2013, 25th Sunday in Ordinary Time C


Sál ke daurán Pachíswán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
Khudá farmátá hai ki ummat ká bachánewálá main hí hún,
Wuh kaise bhí dukh men mujhe pukáren main un kí sunúngá,
Main hamesha ke liye unhí ká Khudáwand rahúngá.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú ne Pák Sharí‘at aur Muqaddas Injíl ke tamám qawá‘id ko
Is maqsad se muqarrar farmáyá hai
Ki ham tujh ko, aur hamsáye ko bhí piyár karná síkhen
‘ináyat kar ki ham
Tere hukmon ko mán kar
Hamesha kí zindagání hásil karne ke qábil ṭhahren
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:
(‘Ámús kí kitáb) Amos 8:4-7
Un ke khiláf jo miskín ko rupaye ke liye kharídte hain.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: 112: 1-2. 4-8 Jamá‘ati jawáb áyat: 1. 7
Jamá‘ati jawáb:
Khudáwand kí hamd karo, jo miskín ko uṭhá letá hai
Hallelujah

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl Ká Pahlá Khatt Timutáús ke nám) 1 Timothy 2:1-8
Khudá ke huzúr har ek ke liye du‘áen kí jáen, jo ki cháhtá hai, ki sab ádmí naját páen.

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: cf. (A‘mál) Acts 16:14
Hallelujah Hallelujah
Ai Khudáwand hamáre dil khol
Ki tere Beṭe kí báton ko qabúl karen.
Hallelujah
Hallelujah:( 2 Qurintíon) 2 Cor 8:9
Hallelujah, Hallelujah
Yisú‘ Masíh daulatmand ho kar
Tumhárí khátir g̣haríb ban gayá
Táki tum us kí g̣haríbí ke sabab se daulatmand ban jáo
Hallelujah

Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 16:1-13
Tum Khudá aur daulat donon kí g̣hulámí nahín kar sakte.

Ek din Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá, ki ek daulatmand ádmí thá, jis ká ek mukhtár thá, aur us ke pás us par ilzám lagáyá gayá, ki yih terá mál uṛátá hai, tab us ne use bulá kar kahá, ki yih kyá hai jo main tere haq men suntá hún, apní mukhtárí ká hisáb de, kyúnki áinda tú mukhtár nahín rah saktá. Us mukhtár ne apne jí men kahá, ki main kyá karún kyúnki merá málik mukhtárí mujh se letá hai, khudáí mujh se hotí nahín, aur bhík mángne se mujhe sharm átí hai. Mujhe ma‘lúm hai ki kyá karná cháhíye, táki jab mukhtárí se ma‘zúl ho jáún, to log mujhe apne gharon men jagah den. Pas apne málik ke ek ek qarzdár ko bulá kar pahle se púchhá ki tú mere málik ká kitná dharátá hai? Us ne kahá sau bat tel, us ne us se kahá, ki apní dastáwez le, aur jald baiṭh kar pachás likh de. Phir dúsre se kahá, tú kitná dharátá hai, us ne kahá sau kurr gehún. Us ne us se kahá, apní dastáwez le aur assí likh de. Tab málik ne bad-diyánat mukhtár kí ta‘ríf kí, is liye ki us ne hoshyárí kí thí, kyúnki is duniyá ke farzand núr ke farzandon kí nisbat apne taur taríq men ziyáda hoshyár hain. Pas main tum se kahtá hún, ki ná-rástí kí daulat se apne liye dost paidá karo táki jab wuh tum se játí rahe to yih dáimí maskanon men tumhen qabúl karen. Jo thoṛe se thoṛe men diyánatdár hai wuh bahut men bhí diyánatdár hai, aur jo thoṛe men bad-diyánat hai, wuh bahut men bhí bad-diyánat hai. Pas agar tum ná-rást daulat men diyánatdár na ṭhahre to haqíqí daulat tumhen kaun suprud karegá? Aur agar tum begáne mál men diyánatdár na ṭhahre to jo tumhárá apná hai use kaun tumhen degá. Koí g̣hulám do málikon kí g̣hulámí nahín kar saktá, is liye ki yá ek se kínah rakkhegá, aur dúsre se muhabbat, yá ek se milá rahegá, aur dúsre ko ná-chíz jánegá, tum Khudá aur daulat donon kí g̣hulámí nahín kar sakte.
Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Shorter
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 16:10-13
Yisú‘ ne apne shágirdon se kahá, Jo thoṛe se thoṛe men diyánatdár hai wuh bahut men bhí diyánatdár hai, aur jo thoṛe men bad-diyánat hai, wuh bahut men bhí bad-diyánat hai. Pas agar tum ná-rást daulat men diyánatdár na ṭhahre to haqíqí daulat tumhen kaun suprud karegá? Aur agar tum begáne mál men diyánatdár na ṭhahre to jo tumhárá apná hai use kaun tumhen degá. Koí g̣hulám do málikon kí g̣hulámí nahín kar saktá, is liye ki yá ek se kínah rakkhegá, aur dúsre se muhabbat, yá ek se milá rahegá, aur dúsre ko ná-chíz jánegá, tum Khudá aur daulat donon kí g̣hulámí nahín kar sakte.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Mihrbání se apní chuní húí qaum ke nazráne qabúl farmá
Táki tere bande Pák ‘ibádat men sharík ho kar
Apne ímán ke ‘aqídat-mandí ke iqrár ke mutábiq
Roṭí aur mai kí súraton men
Tere piyáre Beṭe ko páen
Jo tere sáth hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

 Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 118:4-5
Tú ne apne qawái‘d is liye diye hain ki jí ján se máne jáen.
Kásh merí ráhen aisí mustaqil hon ki main tere qawánín ko mánún.
OR
(Yúhanná) Jn 10:14
Khudáwand farmátá hai: Achchhá charwáhá main hún,
Main apní bheṛon ko jántá hún, aur wuh merí bheṛen mujhe jántí hain

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á (Prayer after Communion)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Tú apní pák chízen de kar
Hamárí parwarish kartá hai
Apní mihrbání se lagátár hamárí madad kar
Táki ham Pák ‘ibádat ke zarí‘a
Aur apne nek chál chalen ke sabab
Naját ká phal hasil karen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.
...
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. John Bergsma on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment