Friday 11 October 2013

13 October 2013, 28th Sunday in Ordinary Time C


Sál ke daurán aṭháíswán Itwár (C)

khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 129: 3-4
Ai Khudáwand, agar tú badíon ká yád rakhnewálá hotá
to ai Khudáwand kaun ṭhahregá.
Kyúnki ai Isráíl ke Khudá, tere pás gunahon kí maghfirat hai.

Jamá‘atí Du‘á (Collect):
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Bakhsh de ki terá fazl hamesha hamáre áge áge
Aur hamáre píchhe píchhe chaltá rahe
Níz nek kám karne ke liye
Hamen sadá garm-josh banáe rakhe 
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se jo tere sáth
Rúhu’l Quds kí wahdáníyat men Khudá hai
Aur hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hai. Ámín

Readings
Pahlí Tiláwat:
(Mulúk kí dúsrí kitáb) 2 Kings 5:14-17
Na‘mán wápas Ilísah ke pás áyá, aur Khudáwand ko qabúl kiyá

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Responsorial Psalm:
Zabúr: Psalm 97:1-4 Jamá‘ati jawáb áyat: 2
Jamá‘ati jawáb: Khudáwand ne apní naját qaumon par munkashif kí hai

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Paulus Rasúl ká dúsrá khatt Timutáús ke nám) 2 Timothy 2:8-13
Agar ham wafádár hain, to Masíh ke sáth bádsháhí karenge

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Gospel Acclamation
Hallelujah: cf. (Yúhanná) John 6:63,68
Hallelujah Hallelujah 
Ai Khudáwand terí báten rúh hain
Aur zindagí bhí hain:
hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain.
Hallelujah 
Hallelujah: (1Tassáluníkíon) 1 Thess 5:18
Hallelujah Hallelujah 
Har ek bát men shukrguzárí karo,
Kyúnki Masíh Yisú‘ men tum sab kí bábat Khudá kí yihí marzí hai.
Hallelujah 
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Lúqá ke mutábiq) Luke 17:11-19
Kyá is pardesí ke siwá koí aur na páyá gayá jo Khudá kí tamjíd kartá?
Ek din aisá húá, ki jab wuh Yarúshalem ko játá thá, to Sámariya aur Jalíl ke bích se ho kar já rahá thá. Aur jab wuh ek gánw menkhil hone lagá to das mabrús ádamí use mile, wuh kuchh fásile par khaṛe ho gaye: aur áwáz buland kar ke bole, ki Ai Yisú, Ai ustád, ham par rahm kar. Us ne dekh kar, un se kahá, ki Jáo, apne áp ko káhinon ko dikháo. Aur aisá húá, ki wuh játe játe pák sáf ho gaye.
Un men se ek ne jab dekhá, ki main ne shifá páí hai, to buland áwáz se Khudá ki tamjíd kartá húá lauṭá, aur us ká shukr kartá húá us ke qadmon par munh ke bal girá, aur wuh Sámarí thá. Yisú‘ ne khitáb kar ke kahá, ki Kyá dason pák sáf na húe? phir wuh nau kahán hain ? Kyá is pardesí ke siwá aur na páe gaye jo lauṭ kar Khudá kí tamjíd karte? Aur us ne us se kahá, Uṭh kar chalá já: tere ímán ne tujhe bacháyá hai.

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Nazránon par Du‘á (Prayer over the Offerings)
Ai Khudáwand hamáre Khudá
Qurbání ke in nazránon ke sáth hí
Apne logon kí du‘aen qabúl farmá
Ham tere kahe par ‘aqídat ke sáth
Yih Pák ‘ibádat adá karte hain
‘ináyat kar ki ham in ke zarí‘a
Ásmání jalál men sharík hone páen
Masíh hamáre Khudáwand ke wasíle se. Ámín.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
(Zabúr) Psalm 33:11
Amír gharíb ban kar bhúke húe
Par Khudá ke tálib kisí bhí ni‘mat ke muhtáj nahín honge.
OR
(1 Yúhanná) 1 John 3:2
Jab hamárá Khudáwand záhir hogá to ham bhí us kí mánind honge
kyúnki ham use waisá hí dekhenge jaisá wuh hai.

Pák Sharákat ke ba‘d kí Du‘á 
Ai Khudáwand, hamáre Khudá
Ham tujh ‘azím Khudáwand se
‘ájizí ke sáth yih iltijá karte hain
Bakhsh de ki
Jis tarah ham Pák Sharákat le kar
Tere Beṭe ke Pák Badan aur Khún se parwarish páte hain
usí tarah is kí iláhí zát men shirkat karen
tere sáth
hamesha se hamesha tak zinda rahtá aur sultanat kartá hain. Ámín.
---
Podcasts:
For Sermon by Fr. Robert Barron click here
For reflection by Dr. Scott Hahn click here

For commentary by Dr. Michael Barber on Sunday readings check out the Sacred Page click here

Some great resources for Sunday Mass, Ordinary and Extraordinary Forms of the Rite at The Divine Lamp click here

No comments:

Post a Comment