Thursday 3 September 2015

6th September 2015 Twenty-third Sunday in Ordinary Time B

Sál ke daurán teíswán Itwár (B)


khilah (Entrance Antiphon):
(Zabúr) Psalm 118:137124
Ai Khudáwand tú ‘ádil hai aur terí qazá rást
Apne bande se apní nekí ke mutábiq sulúk kar

Readings
Pahlí Tiláwat:
Isha‘yá nabí ká sahífa (Isaiah 35:4-7)
Bahron ke kán khole jáenge aur gúnge kí zabán gáegí.
Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Zabúr: Psalm 145:7-10 Jamá‘ati jawáb áyat: 1
Ai merí ján Khudáwand kí hamd kar OR Hallelujah

Dusrí Tiláwat:
(Muqaddas Ya‘qúb Rasúl Ká Khatt) James 2:1-5
Khudá ne gharíbon ko chun liyá ki us kí bádsháhat ke wáris hon

Pák kalám ke paṛhe aur sune jáne par Khudá kí barkat ho.
Jamá‘at: Khudá ká shukr ho.

Hallelujah: (Samúel) 1 Samuel 3:9, (Yúhanná) John 6:69
Hallelujah, Hallelujah
Ai Khudáwand farmá, terá banda suntá hai
Hamesha kí zindagí kí báten to tere hí pás hain
Hallelujah
OR
Hallelujah: cf (Matí) Matthew4:23
Hallelujah, Hallelujah
Hallelujah
Injíl I Muqaddas:
(Muqaddas Marqus ke mutábiq) Mark 7:31-37
Khudá kí marzí ko kaun samajh saktá hai

Injíl I Muqaddas ke wasíle se hamárí khatáen mu‘áf kí jáen.
Jamá‘at: Ai Masíh, terí sitáish ho.

Pák Sharákat kí áyat (Communion Antiphon):
Cf. (Zabúr) Psalm 41:2-3
Jis tarah harní pání kí nadíon kí joyá hotí hai
Waise hí, ai Khudáwand merí ján terí mushtáq hai
Merí rúh Khudá kí zinda Khudá kí piyásí hai
OR
(Yúhanná) John 8:12
Khudáwand farmátá hai, dunyá ká núr main hún,
jo merí pairawí karegá, wuh tárikí men nahín chalegá
balki zindagí ká núr páegá.


No comments:

Post a Comment